Dec 23, 2009

Well in this blog,i will not write any of my creation...rather i am dedicating this blog to some of my favourite lines written by somebody else:
(1) Khata ho gayi aaj, k dil phir udas hai...
lafj phir khule nhi, kehne ko sansar hai...
dil bhi na tute, vo bhi na ruthe...
keh do kuch aisa ,k rutha phir tayyar hai...
Rat k hatheli pe, chand dhundhne phira...
ruk gaye kadam, jab yar samne mila...
ham bhi na bole, vo bhi na bole...
par kaha suna bahut kuch, jo ankhon se bayan hai...
Sath the kisi zamane me ham, tab dil ka ashiyan saza rakha tha...
khwabon k gharondo me, sapno ko bitha rakha tha...
vo tut gaye to kya hua, vo dur hue to kya hua...
ab bas main aur tanhayiyan hain, unhi se dil laga rkha hai...
Dil ke rahi ham hai nikle, chahat ke bazar me sapne the...
sach karne the, jo tut gaye...
har haal me nayi kahani ke naye patra phir ayenge is dwar se...
ham to bas yahi kahenge,na ja is andhkar me.
BY:Sneha Swaroop
Student-Friend
JNCT,BHOPAL

(2) Saaya bankar sath chalenge iske bharose mat rahna...

apne hamesha apne rahenge iske bharose mat rahna...

bahti nadi me kachcHe ghade hain rishte nate pyar wafa...

ye sada yu hi bahte rahenge iske bharose mat rahna...

sooraj ki manind safar pe roj niklna padta hai....

baithe baithe din badlenge....iske bharose mat rahna...

PANKAJ UDHAS

MAHEK(ALBUM)


(3) Kyu rakhu me kalam me syahi,jab koi armaan hi dil me nahi machalata...

Jane kyu log shaq karte hain mujhpe,jab koi sookhja phool meri pustak me nahi niklata...

Kashish to bahut hai mere pyar me,par kya karu jab koi patthar dil nahi pighalta...

Milega khuda to us se apna pyar mangenge,par suna hai wo bhi marne se pahle kisi se nahi milta...

No comments: